Click here for Myspace Layouts

Monday, May 11, 2009

Raasta aasaan hai aur paas bhi…

Pichle kai dino se kai naye students mujhe mail kar rahe hain aur pooch rahe hain ki IIMC ke pariksha mein kya poocha jayega yaa phir antim samay mein kya tayaari ki jaaye…  main sochne lagta hu kaas oon dinon mein yeh plat form hota  to kinta achcha hota…
 
Chaliye yeh sab baatein toh baad mein bhi hoti rahengi… IIMC mein pravesh pariksha aur phir uske baad interview… samay kam hai, aur ab toh shayad ek hafte se bhi kam samay rah gaya hai.
 
Dekhiye yeh maan ke chaliye ki samay paas aate aate zyada cheezo ke piche bhagne ka koi faayeda nahi hai… kyonki aap jitney naye cheezo ko jaanege utna apne aap ko confused payenge… roz nayi ghatnaaye ho rahi hain aur roz ek naya vishay headline ban jaataa hai… Akhir aap kis kis Vishay ko padenge..?
 
Mujhe yaad hai  jab bhi IIMC mein hindi patrakaarita ke HoD Andand Pradhan jee se koi student poochta tha ki sir naye channel mein ek naye students se kya sawaal pooche jayege, to unke chahre mein gussa saaf dekha jaa sakta tha… darasal woh hamesha humein batate the ki bhai aap kisi IIT ya MBBS ke exam ke liye toh nahi jaa rahe ho, jahan tumse maths yaa science ka koi ajeeb sa formula poocha jayega… aap agar patrakaarika ke students hain to aapse usi se judi cheeze poochi jayegi . theek usi tarah main bhi yahi baat har oos pariksharthi ko samjhata hu jo mujhse poochta hai ki kya pada jaye aur kya nahi padha jaaye…
 
Kuch zaruri batein
1.       Pichle 6 maheeno mein ghati 20 badi khabron ki list banaiye… Rajniti, arthvyavastha , khel  aur manoranjan  jagat...
2.       List ke sabhi muddon par teen se chaar alag alag tark vitark par likhe articles ko dhyan se padiye aur samjhiye
3.       Pichle 5-6 maheeno mein Antar rashtirya jagat ke 10 badi khabron ke saath bhi upar likhe tarike se taiyaari karin
4.       Pichle char panch maheeno ke magazine dekhiye (India today aur frontline) unke cover story ko poora padiye… (pichle kuch saalon se vivechanatmak prasann pooche ja rahe hain)
5.       Pichle 1 saal se chaye rahe bade personalities ki list banayiye are unke profiles ko jaaniye , yeh bhi padhiye ki woh kyon khabron mein bane rahe, Isme bhi rajniti, Arthvyavasthe, khel aur filmi jagat aur anter rashtirya logon ko shamil kijiye…
 
Ek pareshni ka hal toh ho gaye ab doosra bada sawaal ki kaise likha jaaye… toh janaab aap kisi bhi patrakaar se pooch lijiye, sabhi ke muh se ek hee jawab milega hai – hamesha aam bol chal ki bhasha mein likho. Par mujhe aaj bhi ek sawal satata hai ki ek naye vidyarthi ko aap aam bol chal ki bhasha mein likhne bolenge toh kya sach wo mein aam bhasha mein likh lega? Ya kya koi bhi Aaj ka patrakaar patrakaarita mein aane se pahle aam bol chal ki bhasha mein likhta tha? Mujhe bilkul nahi lagta aur main jaanta hu ki koi bhi naya student IIMC ke pravesh pariksha mein kaafi koshish karne ke baavjood bhi aam bol chal ki bhasha ka sahi istemaal nahi kar pata hoga…
 
Dekhiya Pariskha mein aam bol chal se matlab hai aapki likhne ki shaili kaisi bhi ho par aap uun shabdon ka istemaal naa kare jo aap apni zaati zindgi mein itemaal nahi karte… jaise… apitu, yadi…yadhyap ityaadi, … aap katheen hindi se door hee rahe toh behtar hoga… yaad rakhen ki aap Mahabharat yaa Ramayan ki script nahi likhne jaa rahe hai aur naa hee aap Golmaal ke Amol Palekar ki bhumika nibhane jaa rahe hain jo vishuddh hindi bol kar apne boss ko impress kar leta hai…
 
Agar aapne aise bhasha ka istemaal kiya toh phir shayad examiner apki copy adhe mein chor kar dusri copy check karne lag sakta hai…
 
Exam se theek pahle ke liye ek salah
Jab aap examination hall ke bahar khade honge toh aap kuch cheez zarur notice karenge jaise ki kuch log aapko kurta aur jhole ke saath dikhenge, kuch aapko coat tie mein bhi nazar ayenge, kaiyon ke haaton mein moti moti patrakaarita ki kitaabein hongi yaa phir koi aapke bagal mein baat karta dikhega ki usne kis kis bade patrakaar ki IIMC pravesh pariksha ke seminar attend kiyen hain… meri ek baat maniye, yeh sab kore dikhawa ke alawa kuch nahi hota… aapne jo taiyaari ki hai aur aap jis shaili mein likhenge uusse mahatvapoorn kuch bhi nahi hai… khaadi ke kapde phanne yaa moti kitaab yaa phir seminar attend karne se naa aaj tak koi patrakaar banaa hai aur naa kabhi ban payega…
 
Ek baat aur exam dene walon mein 90 per cent log bina kisi taiyaari ke bas exam ka format dekhne ke liye aate hain isi liye aapka asli mukaabla sirf 10 pratishat logo se hoga… isie liye imaandaari se taiyaai kijiye aur exam dijiye… aur isi liye main kah raha hu ki Raasta asaan hai aur paas bhi...ek chota sandesh aap sabhi ke liye...
 
Khudi ko kar buland itna ke har taqder se pehle
Khuda bande se ye poche bata teri raza kia hai
 
Aap sabhi ko meri taraf se dher saari shub kamnaayein hain, Aap pariksha mein safal ho yeh ummeed hai … Main chahunga ki aapse mulaqaat IIMC ke campus mein hee ho… aapke feedback ka intezaar rahega…
 
 
Pradeep Surin

No comments: